”La’ilaha’illallah” ka Matlab aur Saheeh Tarjuma….
Tarjuma:
La’ilaha’illallah ka Saheeh Tarjuma ye hai “Allah ke Siwa koi “Haqiqi” Mabood nahi”
Iski Daleel Allah Ta’ala ka ye farmaan hai:
”Ye is liye ke Allah Ta’ala hi Haq hai aur Allah ke siwa jin ko ye Pukarte hai wo Batil hai.”
[Surah Zumar Aayat 63]
Matlab:
La’ilaha’illallah ka matlab ye hai ke “Allah ke Siwa koi Ebadad ke layaq nahi hai”
Iski Daleel Allah Ta’ala ka ye farmaan hai:
”Aye Nabi ! Aapse pehle jo koi Rasool Humne behja tou har Rasool ki taraf Humne ye paigham behja ke Mere Siwa koi bhi Ilah (mabood) nahi hai tou Tum Meri hi Ebadad karna.”
[Surah Al Ambiya Aayat 25]
Ilah (mabood) ka Matlab:
Mabood wo hai jiski Ebadad ki jaye, tou in Do Aayaat mein bata diya gaya hai ke Haqiqi Mabood Sirf Allah hi hai is liye Ebadad bhi Sirf Allah ki hi ki jayegi.
Hi, this is a comment.
To get started with moderating, editing, and deleting comments, please visit the Comments screen in the dashboard.
Commenter avatars come from Gravatar.